Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~``Naz Ka Intikhab``~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

    Originally posted by naz
    kiYa howa Aik baat Per Burso ka YaraNa gaYa
    Ise BahaNe DostoN ka Pyar PechaNa gaYa
    ahaan good :phool:

    Comment


    • #77
      Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

      Originally posted by naz
      good one nazo very nice :phool:

      Comment


      • #78
        Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

        Sukriya Sheem jee :eye:

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #79
          Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


          December...ab bhi Tera muntazir Hay !

          woh Lamhay............
          Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

          December K mahenay main
          Hazaroon Saal Pahlay Jab

          Teray Waday K Honatoon Ne
          meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay !

          meri Bayrang Batoon K Kinaray
          Tum Nay Kwabon K
          Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

          aur .......
          Hawa Ko apni Chahat Ki
          Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

          Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
          aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

          Sama'at ....ab Bhee Teray
          Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

          Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
          meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!

          Nigahain Baraf K Phelay
          chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
          Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

          Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
          Tera Bagair rooti Hay
          Kahan Hota Hay Too.......
          Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

          December ....
          ab Bhe Tera muntazir Hay !!

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #80
            Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


            Mohabbat Mut kaho is ko ...!


            Ub is mien jhoot shaamiL hai
            Mohabbat mut kaho is ko
            imaarut diL ki girney do
            taaluq toot jaaney do
            keh ju deewaar apney boojh se girney pe aajaey
            diiey ki lao se is deewaar ko phir thaamna kaisa
            hawa ka saamna kaisa
            buhat kumzoor sa such hai
            isey ub bujh hi jaaney do
            mohabbat mut kaho is ko
            samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
            panaah zaat ki aagoosh mien simtey howe such mien
            ajub si surd mehri hai
            keh
            ju thathray howe lufzoon ko hidut nahi dey sakti
            sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
            mager such boLna tao hai
            andheira phaiLna tao hai
            ub is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrien
            aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
            kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
            rutien weeraan kerjaey
            osey ub laut jaaney do
            mohabbat mut kaho is ko
            mohabbat mut kaho is ko

            ghaneeray jungloon ke raaste ka such m ohabbat hai
            sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
            mujsm baankpun ashjaar se lipti howi badlien
            keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
            dabey paaon guzarti hien
            inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
            mager tehro zara soocho !
            ager yeh raaste pugdadiyaan
            muhz harf-e-tasali hoon
            kisi ki muskuraahut hoon
            kisi k door jaate bhaagte qudmoon ki aahut hoon
            hawa ki sursuraahut hoon
            ya aisa khwaab jis ko aakhrish aankhien bhula daalien
            ya aisa khut jisey likhien mager likh ker jala daalien
            tao phir aey hum nufs ! yeh maan lo yeh such nahi kyunkeh

            ub is mein jhoot shaamil hai
            MOHABBAT MUT KAHO IS KO

            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment


            • #81
              Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


              muhabbat hum ne bhi ki hai
              mohabbat hum nay bhi ki hai
              hum ko azal say bhi qabal ka koi chehra yaad aata hai
              humain bhi raat k pichlay pehar aawaaz aati hai
              (kisi ki yaad aati hai)
              humain wiraan rastoon per
              kisi hasti k honey ka
              ajab ahsas rehta hai
              koi her dam humarey paas rehta hai!
              khialoon k dareechey say ajab ik weham sa jhankey
              yun lagta hai
              kahin mazi k rastoon per koi ik morr aaya hai
              kisi ka saath choota hai(humara dil bhi toota hai)
              magar lamhoon ki muthi say jo pal bhi choot jaatey hain
              palat kar aa nahin saktay!!!!!
              abad k be-irada rahroo ,
              wapis azal tak ja nahin saktey
              jahan-e-zaat main lakin batayen kis tarah hum bhi
              kisi"BAY ISM" hasti ki judai dil pay sehtay hain
              koi tou hay k jis ki yaad nagri main
              humarey khwaab rehtay hain
              jo aksar hum say kehtay hain
              MOHABBAT HUM NAY BHI KI HAY

              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment


              • #82
                Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

                MoHaBaT RunG BaDuLTI HaI

                Mohababt rung badulti hai
                aur os ka koyi bhi rung mustaqil
                pukhta nahi hota
                naveed-e-sehur ki koyi
                daleel bey-taraa'n jaisey
                kisi mushkil safur mein
                qaafila ik bey amaa'n jaisey
                kabhi heraan se lehjey
                koyi dil bud-gumaa'n jaisey
                jhulasti dhoop ka saaya
                shajur mehurbaan jaise
                kabhi nah rukhney wala zindagi ka kaarwaan jaisey
                koyi rungeen si
                sangeen si
                ik daastaa'n jaisey

                Mohabbat ibtida mein baal kholey muskurati hai
                kabhi hur nazum mein
                hur shear mein
                hur iste'aarey mein
                ghataoo'n ki tarhaan
                ghir ghir k aati hai aur barasti hai
                kabhi sehraa ki manind
                chundh bundoon ko tarasti hai
                kabhi is bulbuley ki tarhaan
                pul du pul ko hasti hai
                kabhi sadiyoon taluk
                dil ke naha khaanon mein basti hai
                kabhi khard k andaeshey
                kabhi ik joosh-o-masti hai
                kabhi has has ke rooti hai
                kabhi roo roo ker hasti hai
                Mohababt admi ki zindagi ka dhung badulti hai
                mager khud rung badulti hai
                Mohabbat rung badulti hai

                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                Comment


                • #83
                  Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


                  Mohabbat ki tabiyat main ...
                  Yeh kaisa bachpana qudrat nay rakha hai
                  Kay jitna purana jitna mazboot ho jaey
                  Issay taeed-e-taza ke zarrorat phir bhi rehti hai
                  Yaqeen ki akhri had tak diloon main lehlahati ho
                  Nigahoon say tapakti ho, laho main jagmagati ho
                  Hazaroon tarah say dilkash haseen haalay banati ho
                  Ussay izhar kay lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

                  Mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki kho hai
                  Kay yeh iqrar kay lafzon ko sunnay say nahi thakti
                  Bicharnay ki ghari ho ya koi milnay kee saa'at ho
                  Issay bus eik hi dhun hay
                  Kaho mujh say muhabbat hai!

                  Kaho mujh say muhabbat hai!

                  ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                  tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                  Comment


                  • #84
                    Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

                    Mohabbat Mousam Nahin Hai
                    Kay Apni Muddat Poori Karay
                    Or Rukhsat Ho Jaye
                    Mohabbat SAWAN Nahin Hai
                    Toot Kar Barsay
                    Or Thum Jaye
                    Mohabbat Aag Nahin Hai
                    Sulgay Bharkay Or Bhuj Jaye
                    Mohabbat Aaftaab Nahin Hai
                    Ubharay Chumkay
                    Or Dhul Jaye
                    Mohabbat To Chaand Ki Manind Hai
                    Jo Barhta Hai Ghut'ta Hai
                    Nikalta Hai Chupta Hai
                    Phir Bhi Fana Nahin Hota

                    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                    Comment


                    • #85
                      Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

                      Originally posted by sheem
                      haan tu aur kiya

                      jumerat ko u pas time kahan hota hai

                      u phere pe nahi jate ho kiya aab :kr::kr:

                      pasand karna tu mera farz tha :blush:
                      u me ko bar bar begger kehti ho me naj hojaonga ab is baat pe :na:

                      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                      Comment


                      • #86
                        Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

                        Naz Ji bouhat khoob...:)
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #87
                          December Ab KaY AaOoO Tu...!

                          December ab kay aao to
                          Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
                          Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain
                          Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain
                          Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai
                          Aur uss ko jo bhi pouron sey
                          Nazar sey chhoo gaya pal bhar
                          Mehek uthaa
                          December ab kay aao to
                          Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
                          Jahan per rait kay zarey sitaarey hain
                          Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain
                          Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain
                          Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai
                          Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai
                          December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat
                          Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai
                          Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein

                          Muhabbat barff jaisee hai yahaan
                          Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai
                          Yahan jab subah aati hai
                          Tou shab kay saarey sapney
                          Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein
                          Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain
                          Yahan dil kay lahoo mein
                          Apni lakoun koo daboo ker ham
                          Sunehray khwaab buntey hein
                          Phir unn khwaaboun mein jeetay hein
                          Inhi khwaaboun pey martey hein

                          Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin
                          Magar phir bhi
                          December ab kay aao to
                          Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!

                          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                          Comment


                          • #88
                            Suno...!

                            Suno!
                            December Ki Thatharti Hoi Shamien
                            Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien
                            Darakhto'n Se Girtey Huay
                            Khushk Zard Pattey
                            Woh Gao'n Ke Tama'm Raste
                            Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey
                            Khiyaal Abad Karte Hain
                            Tumhein Sab yaad Karte Hain.......!!!

                            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                            Comment


                            • #89
                              Re: December Ab KaY AaOoO Tu...!

                              Is post ka title change kardain...ghalati se wo he lag gaya

                              Suno...!

                              kardain Sukriya :rose

                              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                              Comment


                              • #90
                                Re: December Ab KaY AaOoO Tu...!

                                Originally posted by naz
                                Is post ka title change kardain...ghalati se wo he lag gaya

                                Suno...!

                                kardain Sukriya :rose

                                Done :rose
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X